lyrics search

Tuesday, December 11, 2007

Hari hari vasundhara- Boondh jo ban gaye moti 1967

hari hari vasundhara neela neela hai yeh gagan
yeh kispe badalon ki palaki uda raha pawan
dishayen dekho rang bhari ( 2)chamak rahi umang bhari
yeh kisne phool phool pe (2) kiya shringar hai

yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai

tapasviyon se hai atal yeh parvaton ki chotiya
yeh sarp se ghumerdhar dherdhar ghatiyan
dhwaje se yeh khade huae (2) hai vriksh deodar ke
kaliche ye ghulab ke bageeche yeh bahar ke
yeh kis kavi ki kalpana (2)ka chamatkar hai

yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai

kudrat ki is pavitrata ko tum niharlo
inke guno ko apne man mein tum utaar lo
chamkalo aaj laalima (2) apne lalat ki
kan kan se saans ke ,tumhe sabhi viraat ki
apni to ankh ek hai (2)uski hazar hai

yeh kaun chitrakar hai yeh kaun chitrakar
yeh kauu....nn chitrakar hai